jump to navigation

JINNAT KA JISM October 24, 2009

Posted by rohaniyat in Jinn.
Tags:
trackback

Jinnat ka zaahri jism insan ki Rooh ki tarha lateef hota hai. Rooh ke sath mil jane ke bad uski latafat aur bhi barh jati hai yahi wajah hai ke unka jism mukhtalif shaklain ikhtiyar kar sakta hai.

JINNAT KI AQSAM
Ibn Al-Haaj Al-Tilsimani Al-Maghribi r.a farmate hain yun to jinat ki boht aqsam hain lakin 17 numaya hain jiske agay 70 hazar qabile hain aur har qabile me 70 hazar fakhz. Yani agar aasman se agar choti si sui giray to lazman in me se kisi pe giray gi. chunanche Afareet to chashmo aur gharo me rehte hain. Shayateen gharo me aur qabro ko inho ne abad kar rakha hai. Tawagheet kho0n ke pass rehte hain matlab jub kho0n girta hai to ye jama ho jate hain uspar yahan tak ke agar 1 qatra bhi kho0n ka giray to ye bijli ki si tezi me us tak pohanchte hain. Baz jinat huwa me phirte hain aur baz aag ke qareeb. Baz insan ki shakal me bare bare darakhto ke pass rehte hain aur bagho me ghus jate hain. Afareet me se baz jinat aise hain ke wo insan ki aurato ke sath humbistri karte hain. Aur baz jinat insani aurto ke sath nikah karna chahte hain jinhe Ashiq jinat kaha jata hai.